This is the best blog where you can teach how to earn money online without investment and read best collection of Urdu poetry and download software and Urdu tutorial and more.

Breaking

Monday 12 June 2017

Bahar Bhi Ab Andar Jaisa Sannata Hai

Bahar bhi ab andar jaisa sannaata hai,
dariya ke us paar bhi gehra sannaata hai.

Shor thame toh shayad sadiyaan beet chuki hain,
ab tak lekin sehma sehma sannaata hai.

Kis se bolun ye toh ek sehra hai jahaan par,
main hun ya phir goonga behra sannaata hai.

Jaise ek toofaan se pehle ki khamoshi,
aaj meri basti mein aisa sannaata hai.

Nayi sehar ki chaap na jaane kab ubhregi,
chaaron jaanib raat ka gehra sannaata hai.

Soch rahe ho socho lekin bol na padna,
dekh rahe ho shehar mein kitna sannaata hai.

Mehv-e-khwaab hain saari dekhne wali aankhen,
jaagne wala bas ek andha sannaata hai.

Darna hai toh anjaani aawaaz se darna,
ye toh ‘aanis’ dekha-bhaala sannaata hai. !!

No comments:

Post a Comment

Thanks for contact me.