Ho jaayegi jab tum se shanasaai zara aur,
badh jaayegi shayad meri tanhaai zara aur.
Kyon khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
aey kaash ki hoti meri gehraai zara aur.
Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sakoge,
ye uljhi hui dor jo suljhaai zara aur.
Tardeed toh kar sakta tha phailegi magar baat,
iss taur bhi hogi teri ruswaai zara aur.
Kyon tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aaya?
achchha tha ki hota jo woh harjaai zara aur.
Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
ye khauf hai lekin jo hawa aayi zara aur.
Ladna wahin dushman se jahan gher sako tum,
jeetoge tabhi hogi jo paspaai zara aur.
Badh jaayenge kuchh aur lahoo bechne waale,
ho jaaye agar shehar mein mehngaai zara aur.
Ek doobti dhadkan ki sadaa log na sun lein,
kuchh der ko bajne do ye shehnaai zara aur. !!
No comments:
Post a Comment
Thanks for contact me.