This is the best blog where you can teach how to earn money online without investment and read best collection of Urdu poetry and download software and Urdu tutorial and more.

Breaking

Monday 12 June 2017

Main Apne Khwaab Se Bichhda Nazar Nahin Aata

Main apne khwaab se bichhda nazar nahin aata,
tu iss sadi mein akela nazar nahin aata.

Ajab dabaav hai in baahri hawaaon ka,
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahin aata.

Main ek sada pe humesha ko ghar chhod aaya tha,
magar pukaarane wala nazar nahin aata.

Main teri raah se hatne ko hat gaya lekin,
mujhe toh koi bhi raasta nazar nahin aata.

Dhuaan bhara hai yahan sabhi ki aankhon mein,
kisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata. !!

No comments:

Post a Comment

Thanks for contact me.