Zehan mein paani ke baadal agar aaye hote,
maine mitti ke gharonde na banaaye hote.
Dhoop ke ek hi mausam ne jinhen tod diya,
itne naazuk bhi ye rishte na banaaye hote.
Doobte shehar mein mitti ka makaan girta hi,
tum ye sab soch ke meri taraf aaye hote.
Dhoop ke shehar mein ek umar na jalna padta,
hum bhi aye kaash kisi pedd ke saaye hote.
Phal padosi ke darakhton pe na pakte toh ‘waseem
mere aangan mein ye patther bhi na aaye hote. !!
No comments:
Post a Comment
Thanks for contact me.