Yun hi mar mar ke jiyen waqt guzaare jaayen,
zindagi hum tere haathon se na maare jaayen.
Ab zameen par koi gautam na mohammad na maseeh,
aasmaanon se naye log utaare jaayen.
Woh jo maujood nahin uss ki madad chaahte hain,
woh jo sunta hi nahin uss ko pukaare jaayen.
Baap larzaan hai ki pahunchi nahin baraat ab tak,
Hum ki nadaan juaari hain sabhi jaante hain,
dil ki baazi ho toh jee-jaan se haare jaayen.
Taaj diya tum ne dar-e yaar bhi uktaa ke ‘faraz
ab kahaan dhoondhne ghum-khwaar tumhaare jaayen

No comments:
Post a Comment
Thanks for contact me.