This is the best blog where you can teach how to earn money online without investment and read best collection of Urdu poetry and download software and Urdu tutorial and more.

Breaking

Monday 12 June 2017

Lahoo Na Ho Toh Qalam Tarjumaan Nahin Hota

Lahoo na ho toh qalam tarjumaan nahin hota,
humare daur mein aansoo zubaan nahin hota.

Jahan rahega wahin roshani lutaayega,
kisi charaagh ka apna makaan nahin hota.

Ye kis maqaam pe laayi hai meri tanhaayi,
ki mujh se aaj koi badgumaan nahin hota.

Main uss ko bhool gaya hun ye kaun maanega,
kisi charaagh ke bas mein dhuaan nahin hota.

‘Waseem sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko,
woh lafz hun jo kabhi daastaan nahin hota. !!

No comments:

Post a Comment

Thanks for contact me.