Khul ke milne ka saleeqa aap ko aata nahin,
aur mere paas koi chor darwaaza nahin.
Woh samajhta tha usey paa kar hi main reh jaaunga,
uss ko meri pyaas ki shiddat ka andaaza nahin.
Ja! dikha duniya ko.. mujh ko kya dikhata hai ghuroor,
tu samandar hai toh ho, main toh magar pyasaa nahin.
Koi bhi dastak kare.. aahat ho ya aawaaz de,
mere haathon mein mera ghar toh hai, darwaaza nahin.
Apno ko apna keha.. chaahe kisi darje ke hon,
aur ab aisa kiya maine, toh sharmaya nahin.
Uski mehfil mein unhi ki roshani, jinke charaagh
main bhi kuchh hota toh mera bhi diya hota nahin.
Tujh se kya bichhda meri saari haqeeqat khul gayi,
ab koi mausam mile toh mujh se sharmaata nahin. !!
No comments:
Post a Comment
Thanks for contact me.