Chal nikalti hain ghum-e yaar se baaten kya kya,
humne bhi ki dar-o deewar se baaten kya kya.
Baat ban aayi hai phir se ki mere baare mein,
uss ne poochhi mere ghum-khwaar se baaten kya kya.
Log labb-basta agar hon toh nikal aati hain,
chup ke pairaaya-e izhaar se baaten kya kya.
Kisi soudaai ka qissa kisi harjaai ki baat,
Humne bhi dasht-shanaasi ke bahaane ki hain,
haath mein haath liye pyaar se baaten kya kya.
Kis ko bikna tha magar khush hain ki iss heele se,
ho gayi apne khareedaar se baaten kya kya.
Hum hain khamosh ki majboor-e mohabbat the ‘faraz
warna mansoob hain sarkaar se baaten kya kya

No comments:
Post a Comment
Thanks for contact me.