Woh toh khushbu hai hawaon mein bikhar jayega,
Masla phool ka hai phool kidhar jayega.
Hum toh samjhe the ki ek zakhm hai bhar jayega,
Kya khabar thi ki ragg-e jaan mein utar jayega.
Woh hawaon ki tarah khanabajan phirta hai,
Ek jhounka hai jo aayega guzar jayega.
Woh jab aayega toh phir uss ki rafaqat ke liye,
Aakhir woh bhi kahin rett pe baithi hogi,
Tera ye pyaar bhi dariya hai utar jayega

No comments:
Post a Comment
Thanks for contact me.